Horoscope
Temples
Sri Aadinath Ji Chalisa
Chalisa Lyrics
Sheesh Nava Arihant Ko,
Siddhan Ko, Karoon Pranam।
Upadhyay Aachary Ka,
Le Sukhkari Naam ।। Sarv Sadhu Aur Saraswati,
Jin Mandir Sukhkaar।
Aadinath Bhagwan Ko,
Man Mandir Mein Dhaar ।।
** Chaupai **
Jai Jai Aadinath Jin Swami।
Teenkaal Tihoon Jag Mein Naami ।।
Vesh Digambar Dhaar Rahe Ho।
Karmo Ko Tum Maar Rahe Ho ।।
Ho Sarvagya Baat Sab Jaano।
Saari Duniyan Ko Pehchano ।।
Nagar Ayodhya Jo Kahalaye .
Raja Nabhiraj Batlaye ।। 4 ।।
Marudevi Mata Ke Udar Se।
Chait Vadi Navami Ko Janme ।।
Tumne Jag Ko Gyan Sikhaya।
Karmbhoomi Ka Beej Upaya ।।
Kalpavriksh Jab Lage Bichharne।
Janta Aai Dukhda Kahane ।।
Sab Ka Sanshay Tabhi Bhagaya।
Soorya Chandra Ka Gyan Karaya ।। 8 ।।
KhIti Karna Bhi Sikhlaya।
Nyaya Dand Aadik Samjhaya ।।
Tumne Raaj Kiya NeIti Ka।
Sabak Aapse Jag Ne Seekha ।।
Putra Aapka Bharat Bataya।
Chakravarti Jag Mein Kahalaya ।।
Bahubali Jo Putra Tumhare।
Bharat Se Pahale Moksh Sidhare ।। 12 ।।
Suta Aapki Do Batlai।
Brahmi Aur Sundari Kahalai ।।
Unko Bhi Vidhya Sikhlai।
Akshar Aur Ginti Batlai ।।
Ek Din Raajsabha Ke Andar।
Ek Apsara Naach Rahi Thi ।।
Aayu Uski Bahut Alp Thi।
Isliye Aage Nahin Nach Rahi Thi ।। 16 ।।
Vilay Ho Gaya Uska Satwar।
Jhat Aaya Vairagya Umadkar ।।
Beto Ko Jhat Paas Bulaya।
Raaj Paat Sab Mein Bantvaya ।।
Chhod Sabhi Jhanjhat Sansari।
Van Jane Ki Kari Taiyari ।।
Raav Hajaron Saath Sidhae।
Raaj Paat Taj Van Ko Dhaye ।। 20 ।।
Lekin Jab Tumne Tap Kina।
Sabne Apna Rasta Lina ।।
Vesh Digambar Tajakar Sabne।
Chhaal Aadi Ke Kapde Pahane ।।
Bhookh Pyas Se Jab Ghabraaye।
Phal Aadik Kha Bhookh Mitaye ।।
Teen Sau Tresath Dharm Phailaaye।
Jo Ab Duniyan Mein Dikhlaaye ।। 24 ।।
Chhai: Mahine Tak Dhyan Lagaye।
Phir Bhajan Karne Ko Dhaaye ।।
Bhojan Vidhi Jaane Nahi Koy।
Kaise Prabhu Ka Bhojan Hoy ।।
Isi Tarah Bas Chalte Chalte।
Chhah Mahine Bhojan Bin Beete ।।
Nagar Hastinapur Mein Aaye।
Raja Som Shreyans Bataye ।। 28 ।।
Yaad Tabhi Pichhala Bhav Aaya।
Tumko Phauran Hi Paddhaaya ।।
Ras Ganne Ka Tumne Paaya।
Duniya Ko Updesh Sunaya ।।
Paath Kare Chalisa Din।
Nit Chalisa Hi Baar ।।
Chandkhedi Mein Aay Ke।
Kheve Dhoop Apaar ।। 32 ।।
Janm Daridri Hoy Jo।
Hoy Kuber Saman ।।
Naam Vansh Jag Mein Chale।
Jinke Nahin Santan ।।
Tap Kar Keval Gyan Paaya।
Moksh Gaye Sab Jag Harshaya ।।
Atishay Yukt Tumhara Mandir।
Chandakhedi Bhanvare Ke Andar ।। 36 ।।
Uska Yah Atishay Batlaya।
Kasht Klesh Ka Hoy Saphaya ।।
Maantung Par Daya Dikhai।
Janjire Sab Kaat Girai ।।
Rajsabha Mein Maan Badhaya।
Jain Dharm Jag Mein Phailaya ।।
Mujh Par Bhi Mahima Dikhalao।
Kasht Bhakt Ka Door Bhagao ।। 40 ।।
।। Sortha ।।
Path Kare Chalisa Din,
Nit Chalisa Hi Baar।
Chandkhedi Mein Aay Ke,
Kheve Dhoop Apar ।।
Janm Daridri Hoy Jo,
Hoy Kuber Saman।
Naam Vansh Jag Mein Chale,
Jinke Nahin Santan ।।
Other Prominent Chalisa
Maa Lakshmi Chalisa
** Doha **Maatu Lakshmi Kari KripaHridaya Mein Vaas।Manokamna Siddha KariParuvahu Meri Aas ।। ।। Sortha ।। Yahi Mor Ard...
Maa Vindhyeshvari Chalisa
** Doha **Namo Namo Vindhyeshvari,Namo Namo Jagadamb।Santajanon Ke Kaj Mein,Karati Nahin Vilamb ।। Jai Jai Jai Vindhyach...
Sri Vishwakarma Chalisa
** Doha **sri Vishwakarama Prabhune Vandu,Charan Kamal Dhari Dhyan।sri Shambu Bal Aru srip GunDije Daya Nidhaan ।। ** Ch...
Sri Ganesh Chalisa
** Doha **Jai Ganpati Sadgun Sadan,Kavivar Badan Kripal ।। Vighn Haran Mangal Karan,Jai Jai Girijalal ।। ** Chaupai **Ja...
Sri Krishna Chalisa
** Doha **Banshi Shobhit Kar Madhur,Neel Jalad Tan Shyam।Arun Adhar Janu Bimbaphal,Nayan Kamal Abhiram ।। Poorn Indra, ...
Surya Dev Chalisa
** Doha **Kanak Badan Kundal Makar, Mukta Mala Anga,Padmasan Sthit Dhyaiye, Sankh Chakra Ke Sang ।। ** Chaupai **Jai Sav...